Today we have another blog related to Motivational Quotes To Inspire. Here are as under
- Jin logo ne raaz daryafat kea,inho ne e raaz chupaya
- Koshish ko agr haathi keh lea jaye tou naseeb aba-bail ki kan-kari ha
- Agr dill ma muhabat aa jaye tou zubaan ma shaistagi aana shuru ho jaati ha
- Agr mukhlis dost muasar na ho tou zameer ki awaaz haasil krny ka zariya aaina ha
- Jaha aksariyat ka zab ho waha sadaqat ka safr kaise ho sakta ha
- Baatan masroof ibadat ho tou zaahir masoomiyat ka paikar ban jata ha
- Waldaan ki awaaz ma zameer ki awaaz ka hona lazmi ha
- Sachi akliyat ka zab aksariyat se behtar ha
- Hum ism apny masma ke saath raabta rkhta ha.aur ye raabta kabhi zaya nahi hota
- Kalaam ke pechy kaleem ki shakhsiyat hoti ha
- Be-taluq naseehat ya be-taluq tableeg aise ha,jaise zubaan gair ma taqreer krna
- Mayoosi raasty ka sab se bara rehzan ha
- Umar so ke guzaari ha tou baqaia kamaz-kam be-daar rehny ki tamana ma guzaari jaye
- Jo aaj khush naseeb ha.woh kal bhi khush naseeb ho ga
- Logo ne samaan ko pakr rkha ha aur samaan ne logo ko
- Kisi cheez ko rokny ke liye khud,rukna parta ha
- Insaan ki malkiyat is ki maalik ho gyi ha
- Koi insaan allah ke bagair nahi aur allah har insaan ke elawah ha
- Ghar walo ko khush rkho allah khush ho jaye ga
- Sab se moozo naseehat tou yahi ha keh naseehat sunnany waly ma naseehat ka shoq ho
- Khazaany la mehdood hai.lakin insaan ke paas waqt mehdood ha
- Kainaat se tawaja talab krna itna ehm nahi,jitna is ko tawaja dena
- Maazi gya,khatam ho gya,lakin na jata ha na khatam hota ha
- Loog dost ko chor dete hai.behs ko nahi chorty
- Agr jaib barabar ho bhi jaye tou zehen barabar nahi ho ga
- Eid ki khushi kise maal se paida nahi hota.ye tou rooza rkhny walo ko naseeb hoti ha
- zubaan wo baat keh e nahi sakti jo sakoot se bayaan hota ha
- agr ishq zinda ho tou nafs ka asr khatam ho jata ha
- jis qoom se nala-shab uth jata ha.is se sakoon uth jata ha
- jab tak sachy logo ki aksariyat nahi hoti ,jamhoori faisle galt hai
- chin jaany ke baad behshat ki kadar hoti ha
- agr sirf ba-wuzoo ho kr insaan soo rahy tou neend ka arsa bhi ibadat gina jaye ga
- allah ki talaash ma pehla qadam e akhri qadam ha
- be-bas ki aankh se tapakny wala aansoo kitni e ibadato se foqiat le jata ha
- kabhi insaan,insaan pr mar raha hota ha aur kabhi insaan,insaan ko maar raha hota ha
- karbala ki shikast fateh ki basharat ha
- hum jisy tareeki samjh rahy hai,ye e subah ka zab tou subah ka agaaz ha
- dunya ke khilaaf faryaad na kary keh koi aap ke khilaaf faryad na kary
- ibadat is muqaam tak nahi pohnchaati,jaha gareeb ki khidmat pohnchati ha
- ya allah aulaad ko waldain ki gustaahi se bacha.aulaad ko waldaan ki narazgi se bacha
- Ameer ki sadaqat qoom ma sadaqat fikr paida krti ha
- Jab azaab aany wala ho tou touba chin jaati ha
- Allah ka azaab is waqt tak nahi aata.jab tak azaab se darany wala na aye
- Sab salamat tou hum salamat
- Dolat izzat paida nahi krti,dolat khauf paida krti ha
- Gaany waly ka sooz qaloob ko zindah kr deta ha
- Zaahir zaroori nahi keh baatan ka aks ho
- Rehmat hoti ha aimaal ko ibrat se bachany ke liye
- Doosro ki khaamioo pr khush hony wali,koi apni khoobi e bayaan kro
- Rehmat haq is shaksh ki talaash ma rehti ha.jis ki aankh pr nam rehti ha
- Hum pai-maane bnaty rehty hai.lakin khud ko maapny ka waqt nahi rkhta
- Agr manzir na ho tou nazr kis kaam ki
- Agr maashry ma ba-zameer paida ho gye tou murda zameer waise e ro-po-shaho jaye gy
- Gunah ki talaash e tou gunaah ha
- Buland fitrat insaan pust halaat se guzre,tou bhi in ka mazaaj pust nahi hota
- Har hatra khatarnak nahi hota.har saanp dasta nahi ha
- Dunya ma koi aisi naseehat nahi jo pehly na ki gyi ho
- Islaam se muhabat ka daawa krny walo !muslmaano se nafrat na kro
- Meri pyaas bhujaany wala paani kitny haatho ki mehnat ka nateeja ha
- Muqadas ilfaaz ko manzrah zubaan muaisar na ho tou lafz apni taseer kho baithta ha