Top Inspirational Quotes to Keep You Inspired

Top Inspirational Quotes to Keep You Inspired

Here are top Inspirational Quotes to Keep You Inspired. These quotes are as under

  • Dua kro tum is ibadat se bach jao.jis ma allah ka qarb na mily
  • Shaitaan is liye shaitaan bana ,keh is ne ibadat ko tou mana ,lakin mayebood ko nahi mana
  • Agr allah maaf kr de tou gunnah kya ha,agr allah na manzoor kr de tou naiki kya ha
  • Agr aap ne kisi ko qabool nahi kea tou ye samjh le,keh kisi ne aap ko qabool nahi kea
  • Apny aap ko bad-naseeb kehny keh gunnah se bachty raho
  • Hum khayaal log hum safr ho jaye tou manzil asaan ho jati ha
  • Ibadat se mukamal tajzia nafs nahi hota,bal-keh ibadat se hatra nafs tal jaati ha
  • Logo se alag reh kr socho gy tou logo se alag soch mil jaye gi
  • Ibadat se nijaat tak pohnchaati ha.ishq mehboob seh tak pohnchata ha
  • Beta mere baad ghr ma aise rehna,jis trah meri majoodgi ma rehte ho
  • Do mansoobo pr kaam yak-sooi se mehroom kr deta ha.aur yak-sooi keh bigar urooj hasil nahi hota
  • Hamara hona kis kaam ka,agr hamary na hony ka kisi ko kuch farq na pary
  • Bolny wali zubaan,sunnany waly kaan ki muhtaaj ha
  • Jo shaksh dua ka taalib ha,woh khuda ka taalib ha
  • Ilfaaz e ke dam se insaan ko janwaroo se zyada mumtaaz bnaya gya ha
  • Har agaaz ka aik injaam ho ga.aur har injaam kisi agaaz pr muntij ho ga
  • Ajaibaat dehr ma sab se bara ajooba aankh ha
  • Kahani sunany wala koi na ho tou bhi kahani khud kahani sunati rehti ha
  • Taz bazab is muqaam ko kehty hai.jaha aagy jaany ki himat na ho.aur wapis jana mumkin na ho
  • Haq waly ko is ka sahi haq mil jana e adal ha
  • Zuban aur kaan ke istemaal se pehly aankhoo ka istemaal krna chahye
  • Agr insaan ke emaal apny munqati nataij pr muntij hoo,tou rehmat ka lafz koi maini nahi rkhta
  • Khawaab na chory ja skty hai.na poory kiye ja skty hai.bs dekhe ja skty hai
  • Darasal khud pasandi aur khud parasti ka muntaqi natija apny aap se aur doosro se bezaari ha
  • Aadmi mar jata ha,aur zindagi phr bi zindah rehti ha
  • Ilfaaz se mazmoon aur mazamee se ilfaaz ke ristoo ka ilm ha insaan ko musnif bnata ha
  • Asal jalwah nazr aany wale jalwy ke bar-aqs bhi ho skta ha
  • Aankhy is kainaat keh saath hamary raabty ka zariya hai
  • Aaj ke insaan ke paas apny liye bhi waqt nahi ha
  • Allah har aakhir awal aur har awal ka aakhir ha
  • Raat sooraj hi ke aik andaaz ka naam ha
  • Mashriq se pary bhi mashriq ha magrib keh paar bhi magrib e ha
  • Waqt kat jaye aur faasla na katy tou zindah rehne ka kya jawaaz ho skta ha?
  • Insaan ne jis muqaam pr insaano ko chor kr khuda se muhabbat ka dawa kea woh aksar galt nikla
  • Agr zaahri martaby qaim bhi reh jaye tou insaan anadr se qaim nahi rehta
  • Magrib keh paas paisa ha aur deen nahi,hamary paas kuch bhi nahi
  • Aik be qarar dill agr gazal keh de tou hazaroo be-qarar dilloo ko qarar aa jata ha
  • Kainaat ka koi asool aisa nahi,jis ma istashnaana ho
  • Jahan aik doar khatam ho jata ha,wahi se doosry doar ka agaaz hota ha
  • Dushman kabhi taqat-war nahi hota,bs dost e chor jaaty hai
  • Jitney sitaary hai agr itni zameene akhti kr di jaye tou shayd aik sitaary ke asal wajood ke barabar ha
  • Jab zehen pukhta ho jaye tou islaah ka imkaan kam ho jata ha
  • Bad-naseeb hai wo musaafir jo aadhy safr ke baad zooq safr se mehroom ho jaty hai
  • Hum safr aadmi agr hum fitrat na ho tou saath kabhi manzil tk nahi pohnchta
  • Adal krna sirf khauf khuda aur fazl khuda se mumkin ha
  • Hum tou ye bhi nahi bata skty ,keh aankh ma bainai kaha rehti ha
  • Raat ko sonay ke baad subah ki be-daari allah ki rehmat ke sahary ha
  • Aap seh ka kardaar,kardaar ki intiha ha
  • Ye e tou apny na hony ka asal jawaaz ha keh koi na ho
  • Agr cheezo ko in ke asal ke hawaly se pehchana jaye tou har sha aik e sha ha
  • Aik ghr ma palny waly jurwaa bhai bhi aik jaise nahi hoty
  • Aik doosry ke haqooq ke ehteraam se e samaaj ma qayaam paida hota ha
  • Kya aisa mumkin nahi ke shahi masjid ka imaam governor ho ya governor shahi masjid ki imamat ke faraiz ada kary
  • Teri aankh nizaroo ka aik hisa ha.ye na ho tou nizaroo ka husn khatm ho jata ha
  • University Shakespeare ko ilm tou de skti ha,lakin Shakespeare banany ka ilm nahi de sakti
  • Pegambar ke baad sab se bara martaba maa baap aur ustaad ka ha
  • Muhabat dill ki sehat ha aur be marwati bemari ha
  • Ibadat nafs ke shar se bachati ha.tazkia nahi karti,tazkia sirf ishq krta ha
  • Libraria ilm se muhabat ke bajaye ilm ki haibat-tari kr rahi ha
  • Ronay wali aankh qarb haq ke zaraye ma sab se bara zariya ha
  • Climax ya nuqta urooj is muqaam ko kehty hai.jis ke baad ye muqaam nahi rehta
  • Aik doosry ke haqooq ke ehteraam se e simaaj ma qayaam paida hota ha
  • Muhlis ki tareef e ye ha ke aap ke saath aap se zyadah mehrbaan ho
  • Khuda se ashnai mumkin e nahi jab tak wo khud ashnai raaz na kr de
  • Woh jannat jis ma apny elawah koi na ho,dozah se bad-tar ha
  • Taqat-war insaan kamzoor insaano ki inayat ka naam ha
  • Khaaliq ka har amal khaaliq ki trah muhtaram aur muaziz ha
  • Yaqeen ke saath uthaya hua pehla qadam jo jaanib manzil ho,wo e manzil ha
  • Be-bas insaan ka sajdah e be-basi ka ilaaj ha
  • Jo dara raha hota ha,dar-haqeeqat woh dar raha hota ha
  • Ai maalik tou hamy wo zindagi de ke hum bhi khush reh saky aur tou bhi hum pe raazi rahy
  • Aaj ka insaan sirf makaan ma rehta ha is ka ghr hatam ho gya ha
  • Khud shanasi tou khuda shanasi ka amal mumkin e nahi
  • Naseehat krny wala muhlis na ho tou naseehat bhi aik paisha ha
  • Touba kr li jaye tou aik achy waqt ka agaaz ho skta ha
  • Jo ye na ban saka ,isy woh banana para
  • Jo aik ne khoya woh doosry ne paya
  • Ajeeb baat ha keh jisy aik insaan talash krta.doosra isi se nijaat chahta ha
  • Ab bhi dunya ki umeed aur insaan ke mustaqbil ka imkaan tehzeeb,mashriq ma ha
  • Mazhab darasal ikhlaaqiat ma alhiyaat ka shaamil hona ha

 

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *